Aabaad Barbaad – Lyrics
Ya To Barbaad Kar do
Ya to Barbaad kar do
Ya phir Aabaad kar do - 2
Wo galat tha , yeh sahi hai
Jhooth yeh aaj keh do
Itna ehsan kar do
Itna ehsan kar do
Poorey arman kar do
Lab pe aaker , jo ruke hain
Dhaai wo harf keh do
Meri saanson se judi hai
Teri har saans keh do
Mushkil aasaan kar do….2
Ya to barbaad kar do
Ya phir aabaad kar do - 2
Antara 01
Meetha sa ye zeher, main to peeta rahunga
Tu khuda na sahi, main to sajde karunga
Meetha sa ye zeher, main to peeta rahunga
Tu khuda na sahi, main to sajde karunga
Tum jo shirin na huye to kya humko farhaad kar do
Meri saanson se judi hain teri har saans keh do
Mushkil aasaan kar do, Mushkil aasaan kar do,
Ya to barbaad kar do
Ya phir aabaad kar do
Ya to barbaad kar do
ANTARA 2
khabon ko jagah na mili aankhon mein
wahaan pehle se hi sailaab tha
naghmein banaata raha saazon pe
dil apna fakt mizrab tha – 2
meri bejaa hasrton ko
Qaabil e daad kar do
Meri saanson se judi hain
teri har saans keh do
itna ehsan kar do
itna ehsan kar do
Poorey arman kar do
Ya to barbaad kar do
Ya phir aabaad kar do
ANTARA 3
Kehta bhi to kehta, kis se kya kehta
Kissa dil ka bahot lajawab tha
Simta bhi to simta kiski baahon mein
Jisne chehre pe odha naqab tha
Barf se ho rakhe dil pe ,dhoop ka naam likh do
Poorey Armaan kar do
Poorey Armaan kar do
Ya to Barbaad Kar do
Ya phir Aabaad kar do
Lyrics powered by JioSaavn
| Song | Aabaad Barbaad |
| Artist | Arijit Singh |
| Album | Ludo |
| Language | Hindi |
| Year | 2020 |
Lyrics from Ludo
Hardum Humdum
Arijit Singh
Meri Tum Ho
Jubin Nautiyal
Hardum Humdum (Film Version)
Arijit Singh
Dil Julaha
Darshan Raval
Meri Tum Ho (Unplugged)
Jubin Nautiyal
More Lyrics by Arijit Singh
Aabaad Barbaad lyrics by Arijit Singh. From the album Ludo. Read full lyrics and download the MP3 in HD quality on MP3Maza.